Saturday, November 22, 2008

Do dastakein aisi bhi



Ek shaam dastak huyi, aur main khud sey milna chalaa aaya

Samundar ki rayton pey, paon apnay chaap aaya

Aakay saans bhi na liya tha ki bahaar ka nazaara kuch ajeeb sa suna

Jhaank kay dekha to ek majmaa jamaa hua sa laga

Kaanpti awaz se socha ki yeh maajra kya hai

Maloom aaya kisi ko pakar liya hai

Isi shashopanch mein tha ki achanak... ek aur dastak huyi

Darwaza khola hi tha ki mujhko majmay nay ghaseeta aur raundh diya

Main ghabraa kay bachkay aakay baitha aur chal paraa

Apney paon kay nishan dhoondnay

Wahan ret ki chaadar thi jisko samundar ki maujon nay gheela kar diya tha

Main khud sey duur ho gaya tha

Samundar ki rayton pey, paon apnay chaap kay

No comments: