Yaad jungle bahut aaya jo nagar mein aaye
Raksse deewangee aangan mein jo dekha hoga
6 December ko, Sri Ram ne socha hoga
Itnay deewanay kahan say mayray ghar mein aaye?
Jagmate thay jahan Ram ke kadamon ke nishaan
Pyaar ki kahkashan leti thi angrayee jahan
Mor nafrat ke usi raah guzar mein aaye
Dharm kya unka hai, kya zaat hai, yeh janta kaun
Ghar na jalta to unhe raat mein pehchanta kaun
Ghar jalanay ko mera log jo ghar mein aaye
Shakahari hai mere dost tumhare khanjar
Tumnay Babar ki taraf phaykay thay saare patthar
Hain mere sar ke khata zakhm jo sar mein
Paoon Saryu mein abhi Ram ne dhoye bhi na the
Ke nazar aaye wahan khoon ke gehre dhabbay
Paun dhoye bina Saryu ke kinare se uthay
Ram ye kehte hue apne dwaare se uthay
Rajdhani ki fiza aaye nahin raas mujheay
6 December ko mila doosra banvaas mujhay.
1 comment:
you did not pull down a mosque, you pulled down humanity...you did not demolish a structure...you demolished the soul of a nation...a soul nurtured through centuries of grit...as the brick layers will gather grime and soot you will come back...you will come back
I know you may come back and raze to dust...but you will reappear to clear the dust and apply balm to see the edifice again...
of agony and ecstasy...dementia will not take over...
Post a Comment